Pages

Friday, June 24, 2011

Sad Poetry

Usay kehna!
Bazahir to
hawaein badli badli hein!
Chaman bhi badla badla hay!
Magar DIL mein!
Tumhari yaad ka mosam nahi badla!
Teri chahat k
phoolon ki!
Abhi khushbu
nahi bhikhri!
Meray ander
tumhari zaat ka!
Ehsas baqi hay!
Tumharay dam se meri zindgi ki!
Saans baqi hay!
Usay kehna!
K mosam to
bdaltay rehtay
hein yonhi
Kabhi mosam badalnay se
Ye aankhin nam
nahi hoti
K teray door janay se,
Muhabbat kam
nahi hoti.

No comments:

Post a Comment