Showing posts with label Eid Poetry. Show all posts
Showing posts with label Eid Poetry. Show all posts

Friday, October 18, 2013

Eid Poetry

Kash iss eid par main tera bakra hota
Aur kissi ne na sahi tu ne to mujhe pakra hota

Tu hina legey hathon sey mujhe pathey khilati
Thorey thorey nahi sarey akathey khilati

Tu mujhe main main kar ke bulati
Aur sham ko gali main saath ghumati

Mere pass gaari na sahi chakhra hota
Kash iss eid par main tera bakra hota

Tu meri suhbat par naaz karti
Bila-jhijhak mujhe aashnae-raz karti

Agar mera raqeeb mujhe chehra karata
Seeng marta foran usse takar karata

Raat ko sardi main bahir akra hota
Kash iss eid par main tera bakra hota

Phir eid par zibah ho jata main
Teri khatir cut mar jata main

Teri muhabat ne kuch iss tarah jakra hota
Kash iss eid par main tera bakra hota..

Friday, August 9, 2013

Eid Poetry

Tum Ne Khatt Mein Likha He
Tumhain Ch0rrian Bhej0n
Ya Mehndi ,
Ya PerFume Bhej0n .!
Surkh Jorra, Ya Payal Bhej0n .!!
Na Mujhay Cho0rian Bhejna
Na Mehndi Ya PerFume
Surkh Jora Aur Payal Bhi Nahi Chahiye
Tum Khud Hi Aa Jana
Aur ~
Eid Mubarak ~
Kah Dena !! Eid Ul Fitr

Eid Poetry

Is Eid Par . . .
Woh Mere Saath Nahin . . .
Magar Woh , , ,
Us Kii Yaadein . .
Us Kii Baatein , ,
Sab Mujhe Yaad Hein . .
Us Ne Bhii Mujhe Yaad Kiya Hoga . .
Phir Mere Khayalon Mein Khoye Hue . .
Tasavur Ke Kisi Lamhe Mein . .
Dheere Se Kaha Hoga , ,
Eid Mubarak

Eid Poetry

Is Baras Bhi Eid Guzar Gai Her Shaam Ki Tarha,,
Tera Naam Raha Mere Lab Pe Ek Sawaal Ki Tarha,,

Log Miltey Rahey Eid Per, Mujhy Kahan Hosh Tha,,

Teri Yaadon Ne Ghairey Rakha Ek Jaal Ki Tarha,,


Mustakbil Mein Bhi Dosto Mujhy Koi Eid Nazar Nahi Aati,
Mera Maazi Bhi Udaas Tha, Mere Haal Ki Tarha,,


Halaal-e-Eid Kya Hy? Ek Talwaar Hy Taiz Dhaar Ki Tarha,

Aur Teri Yaaden Bhi Hain Eid K Halaal Ki Tarha...!!

Monday, October 29, 2012

Eid Poetry

KIS EID KA KAHA THa
Jane Kon see Eid Ka Kaha Tha.*
.
Ab to Kaiye Baras Beet Gaye.*
Shayad Sadiyan He Lekin.*
.
Mein Us K Intzar Mein Is Tarah Khari Hon.*.
Aankhein Rah Dekhte Dekhte Pathar Ki Ho Gai Hein.*
.
Har Azoo Kaan Bana Hai Us Ki Ahatt K Leye.*.
Hath Mein Pakre Gulab badal Gaye.*
.
Aab Ginon Mein Sab bhool Gaya Hai
Bas Itna Yaad Hai Keh Kaha Tha Us Ne.*
.
Eid Pe Aaon Ga Jane Kon See Eid Ka Kaha Tha.*

Saturday, October 27, 2012

Eid Poetry

Har Baar Ki TraH Is Baar BHi AanSoo BaHaonGa,
SuNo LoGo MaeN "EiD" nHn ManaonGa,
SaHonGa GHam AKeLe ChuP K ChuP K,
ZaKHam Na APne Kisi Ko DiKHaonGa,
LaGe Gi MeHnDi HaTHoN Par,
UrTi PHirenGi TiTTLiyaaN,
MaeN PoncH K AnKHen,
ChuP ChaP Se So JaonGa,
Jis HaaL MeN HoN MaeN, BoHaT KhusH HaaL HoN MaeN,
ZamaNe BHar Se AcHHa HooN
AaG KaHeeN Na LaGaonGa,
Har Baar Ki TraH Is Baar Bhi AanSoo BaHaonGa,
SuNo LoGo MaeN "EiD" nHn MaNaonGa,..

Eid Poetry

"EID GHAZAL"
Kuch apny boht yad ayen gay
"Eid"
k din
Hum ansoo bhi bahaien gay
"Eid"
k din
Saja kr dil mein un ki tasveer
Apne ap se sharmaien gay
"Eid"
k din
Shayed ho us ki aamad is bahane
Hum ghar apna sajaen gay
"Eid"
k din
Shayed day aye paighaam hamara us ko
Hum hawa ko aazmaen gay
"Eid"
k din
Tm b mere pas na hogay
"Eid"
k din
To kese eid mana payen gay
"Eid"
k din.....!!

Wednesday, October 24, 2012

Eid Poetry

ab ki bar EID per mehndi lgao to mujhy yaad krna
jub sahelion k jhrmat main bethna to mujhy yaad krna
EID to sub keliy khushi ly kar ay gi
tum jub tanha betho to mujhy yaad krna
chand raat dusron ki trha tum bhi msrof ho gi
kbi tumhin fursat mily to mujhy yaad krna
EID ki chorain jub le kar ao gi
na ho koi pehna'ny wala to mujhy yaad krna
tery haseen hathon pe rachi mehndi ko
koi agar thukra de to mujhy yaad krna

Tuesday, August 21, 2012

Eid Poetry

Is Eid Pe Tum
Ko Ana He
Aor Meira Sath
Nibhana He
Mujhe Sb Sakhiyan
Ye Kehti He
Woh Jo Teira Ik
Deewana He
Woh Tujh Se
Q Begana He
Gar Tujh Se Us
Ko Piyar He
Phir Q Tujh
Se Beizar He
Woh Tujh Se
Itna Dor He Q
Gar Tum Ko Woh
Bhi Chahta
To Waday Sb
Woh Nibhata
Mein Un Se Bs
Itna Kehti Hon
Woh Meira Pareemi
Ho Na Ho
Mein Us Pe Jan
Lutati Hon
Apna Sb Kuch
Usay Btati Hon
Woh Beshak
Mujh Se Dor Buht
Aeisa To Tum
Ko Lagta He
Par Meiray Dil
Men Woh Basta He
Gar Meiry Suntay
Ho Tum Piya
Dil Krta He Itny
Faryad Piya
Meiry Sb
Sakhiyon Ko Batlao
Tum Piyar Bhi
Mujh Se Krtay Ho
Par Mujhe Thamnay
Se Q Dartay Ho
Is Eid Pe Tum
Aa Jao Piya
Na Itna Ab
Tarpao Piya...?

Eid Poetry

Zara sa muskura dena k Eid aa rahi hy
Gile shikwe Bhula dena k Eid aa rahi hy
Khafa hona, khafa karna kisi ko bhi nahi achha
Dua lena dua dena k Eid aa rahi hy
Kisi se bhi shikayat ho use ja kar yehi kehna
Nahi tum se juda rehna k Eid aa rahi hy
Mohabat bantna sab se, gale sab ko laga lena
Yehi he bas mera kehna k Eid aa rahi hy.....

Eid Poetry

MiL Jaye Ga tum ko koi Sahara Eid Main...¤¤
AB DEkho kiya Ho ga Hamara Eid Main...¤¤
teri Yaad se Hi Mana Le Gy ye Eid Bhi faqt
Nahi koi Khushi tere Baad Gawara Eid Main...¤¤
Ek waqt tha jo Kbhi saath thy Hum dono
AB DOOr hai tera Mera Sitara Eid Main...¤¤
Or Kuch Nahi Kehta faqt Tum se
Kr Lena Hum ko Yaad KhuDara Eid Main.

Sunday, August 19, 2012

Eid Poetry

%GHAZAL%
Zara Sa Muskura Dena Tum Ab EID sy Pehle Pehle,
Hr ek Ghum Ko Bhula Dena Tum Ab EID sy Pehle Pehle,
Na soucho kay ho ga kuch EID sy Pehle Pehle,
Har ek ko maaf kar dena EiD sy Pehle Pehle,
Kya pata phir hum mil paye k na(Dosto)
Jo kehna hy keh dalo eid se pehle pehle.

Tuesday, August 14, 2012

Eid Poetry

Ye EID tery shehr me b to i hogi
Barhy he naaz sy ye tu ny manai hogi
Wo narm narm kalaiyon me choriyon ki khanak
Haseen hathon py mehndi b lagai hogi
Eid ka chand bhla dekhen gy kyun ehl-e-nazr
Sb ny tum py he nigah apni tikai hogi
Saj sanwar kr tu jo nikli to chand ne
Tumko dekh kr arsh py khud Eid manai hogi
Main to us roz manaon ga Eid ay Dost
Khatm jis roz teri meri judai hogi

Saturday, August 11, 2012

Eid Poetry

EID GHAZaL
Is Eid pe lot k aa jana
kuch yadain taza KARNI hain
kuch lamhay mor k lanay hain
kuch taray torr k lanay hain,
wo masti or wo madhoshi
wo bachpan mor k lana hay
is Eid pe lot k aa jana
ab dil ko dil ki dharkan se
phir Eid mubarak kehna hay,
ab sath boht din rehna hay,
is Eid pe lot k aa jana.
is Eid pe lot k aa jana?‎

Eid Poetry

"EID_HO_JAAY"
Rukh_e_Mahtab Sey Parda Uthao Eid Ho Jaay._
Darakhshaan Chand Saa Chahera Dikhao Eid Ho Jaay._
MUsalsal Is Judaai K Safar Mein Thak Gaya Hun Main._
Koi Deedaar Ka Rasta Banao Eid Ho Jaay._
Main Ab K Eid Pey Aa K Tumhaari Eid Kar Dungi._
Wahi Wada Sanam Apna Nibhao Eid Ho Jaay._
Musalsal Tashnagi Barrhti Rahi Hy Meri Chahat Ki._
Koi Jam_e_MUhabbat Ab Pilaao Eid Ho Jaay._
Udaasi Tery Chahry Ki Mujhy Ghamgeen Karti Hy._
Khudara Ab To Jana Muskrao Eid Ho Jaay._
Siwaa Usky Koi Bi Eid Meri Ho Nahin Sakti_
Humaary MeeR KO Hum Sey Milao Eid Ho jaay._
PoEt:
MeeR_HassaN.

Monday, November 7, 2011

Eid Poetry

""EID GHAZAL""
"Zara sa muskrana tum ab eid se pehly"
"Har ik gham ko bhulana dena tum ab is eid se pehly"
"Hum tum ko kitna chahty hen ye tm ko maloom he"
"Mujh se aik bar milny aana tum ab eid se pehly"
"Yaaron ne to humen sar-e-bazar ruswa kr diya"
"Thora hum ko bhi sahara dena tum ab eid se pehly"
"Kuch guzry lamhon ka tum bharm rakh lena
"Bus apna wadaha yad rakhna tum ab eid se pehly"

Sunday, November 6, 2011

Eid Poetry

(Eid Gazal}
Hasrt hy tmhare "DEED" krein
tm aao to hm b "EID" krein..
Kuch dair to "DIL" ko chain mily
kuch roz to man ka phool khile
kehte hn "EID" ke aamd hy
tm aao to hm b "EID" krain
jb gham k badal chaye thy
us bar b TM na aaye thy
is bar b TM na aye ho'
sb dushman ye tanqeed krain
TUM aao to hm b "EID"krain
mana k hm diwany hn sb apno se anjany hn.
jb apne he begany hn kia ghero se "UMEED" krain
TUM AAO TO HM B
"EID" Karin. . . . . . . . . .

Saturday, September 24, 2011

Eid Poetry

Jab gaie Masjid-o-Mimber py Nazar Eid k bad,
Aaisy Majrooh huy Qalb-o-jigar Eid k bad.
Dar-o-Deewaar-e- Masajid ny kia hum sy sawal,?
Jo Namazi thy gaye ab wo kidhar Eid k bad?.
Jitna RamazaN main kamaya tha ganwaya aakhir,
Haaye Chori he Nhe koi kasar Eid k bad.
Motakif thy jo masajid k sutono ki tarha,
Koi Bhe aata Nhe in main Nazar Eid k bad.
Wo to shetaan tha jo azaad hua hai lekin,
Tu MuSaLmAn hai tu aisa na kr Eid k bad...

Thursday, September 1, 2011

Eid Poetry

Jab mer¡ haq¡qat jaA jaA kar
Unko suna¡ £ogøØn ne,
Kuch such bH¡ kaha kuch jhøØt kaha,
Kuch baAt baNa¡ £ogøØn ne,
Dhaa'yen ha¡N hamesha zu£m~Ø~S¡itam
Dun¡ya ne mohabbat wa£øØ'n per,
Do D¡£øØ ko kabh¡ m¡£nay na d¡ya D¡waAr uthanay wa£øØ'n ne,
AankhøØ'n se na AnsøØ poNch sakay,
HontøØ pe khuS¡ dekh¡ Na gae,
AbaAd jo dekha ghar mera
To Aag £agae £ogøØ ne,
TaNha¡ ka sath¡ m¡£ na saka Ruswae ma¡ sham¡£ shehar hua,
Peh£ay to mera di£ tor d¡ya,
Ph¡r E¡d maNae £ogøØ ne,

Eid Poetry

¤GHAZAL¤
Hasrat hai tumhari deed kren
Tum ao to hum b EID kren,
Kuch dair to dil ko chain mily
Kuch roz to mann ka phool khily
Khty hain EID ki amad hai
Ab log b kuch ta'ed kren,
Tum ao to hum b EID kren
Tum se yeh ek guzarish hai
Yeh apny dil ki khwaish hai
Ek bar milo
Ek bar milo
Her bar ye hi takeed kren
Tum ao to hum b EID kren
Mana k hum deewany hain
Sab baton se anjany hain
Jab apny hi begany hain
Kia gheron se umeed kren?
tum ao to hum bhi EID kren.
"EID MUBARK WITH BEST WISHES"