Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sad Poetry. Show all posts

Saturday, November 23, 2013

Sad Poetry

Chahaton K Silsily Or Bekhudi Zara Zara.
Wo Mukhtasar Si Khahishen Or Ashqi Zara Zara.

Ye Doriyan Nazdikian Sab Kehny Sun'ny Ki Bat Hy.
Hen Lafzon Me B Fasly Or Bandgi Zara Zara.

Kis Ada Se Mang Lon K Mil Jaye To Mujhy.
Ek Dua Muntazr-e-Lab Or Ajzi Zara Zara.

Kbi Hijr Me B Qarar Hy Kbi Dharkno Se B Uljhne.
Na Hosh Hy Na Khud Ki Khabr Or Diwangi Zra Zra.

Ae Dil Kanch K Ye Khawb Hen Palken Khuli Tu Kch Nhi.
Bari Hasrten Hen Jeeny Ki Or Zindgi Zara Zara...!!

Friday, October 18, 2013

Sad Poetry

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain

Suna hai rabt hai us ko kharab halon se
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain

Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain

Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

Suna hai raat use chand takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

Suna hai din ko usay titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain

Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain

Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Suna hai us ke labon se gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain

Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka
Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain

Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain

Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main
Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain

Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain

Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain

Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain

Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain

Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain

Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain

Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain

Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan
Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain

Sad Poetry

Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein
chahat bus tumhari hai yeh janti hoon mein

Aao apni zaat ke us pehlu se milaaaon tumhe
mein kya hoon aur kon hoon yeh bataaon tumhe

Mein apni maa ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon
apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein

Apne bhai ki ghairat hoon yeh jaanti hoon mein
is ghar ki izat hoon yeh maanti hoon mein

To phir behek jaaon mein yeh mumkin hi nahin
rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahin

Mohbabbat unhe bhi hai sirf tum ko to nahin...

Sunday, October 6, 2013

Sad Poetry

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
Ghazala rahat
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

Sad Poetry

Usay me ne hi likha tha ,
k..!
lehjay baraf ho jayen to pighla nai krty 
Parinday dar k urr jaen to lota nahi krtay 
Usay me ne hi likha tha 
k..!
Yaqeen uth jaye to shayad kabhi wapis nahi aata
Hwaon ka koi tufan kabhi barish nahi lata
Usay me ne hi likha tha
k..!
Sheesha 1 bar toot jaye to kabhi jurr nahi pata
wabista jin sy umeedain hon agr wo badal jaen to jiya nahi jata

Sad Poetry

Bikhar Jate Hain Jis Me Rishton K Bharam
Galat Fehmyon Ke Us Toofan Se Dar Lagta Hai

Mari Ankhon Ko Na Do Khwabon Ka Lalach
Mujhe Khwabon Ke Naam Se Dar Lagta Hai

Aghaz E Mohabat Ki Dilkashi Apni Jagah
Mujhe Mohabat Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai..

Friday, August 9, 2013

Sad Poetry

ES Tarah Us Se Rabeta Rakha,
Pas Reh Kr B FaaseLa Rakha..

Zindagi Ek Makaan Hy Jis May,
Saanhey Par Hy Saanha Rakha..



HaL-e-DiL iS Liye Suna Na Sakey,


Pass Us Ne Ta QaafeLa Rakha..



Uske Aane Ka Aaj iMkaan Hy,


Hum Ne Aankhon Ko Farsh-e-Rah Rakha..



Khud B Ghamgeen Te Hum EiD Ki Shab,


MehfeLon Ko B GhamZada Rakha



Gar Musafar Te Aik ManziL K


Q ALag Us Ne Raasta Rakha



SHAH-E-KHOBAA'N Ne,Hum Faqeeron Se
Kuch Ta'ALuq Na Waasta Rakha

Monday, July 29, 2013

Sad Poetry

Na chahat k jazbaat alag,

Na khushiyon k lamhaat alag,

Na phool se thi mehk alag,

Na guzri koi bahaar alag,

Na honton ki muskaan alag,

Na dil k ehd-o-paiman alag,

Na deen alag,

Na emaan alag,

Na sur, sangeet, naghmaat alag,

Thi sari baat lakeeron ki,

Tere hath alag?
Mere hath alag?

Thursday, June 6, 2013

Sad Poetry

Meray maazi ko andhairoun main daba raihnay do**

mera maazi meri zillat k siwa khuch b naheen**

meri umeedoun ka hasil meri kawaishoun k sila***

ik benam eziaat k siwa khuch b naheen**

Monday, June 3, 2013

Sad Poetry

~KYU SOCHTI HU TUJHE....
AKHIR TU MUJH ME KYU HAI.....

ME TO KHUD NAHI HU APNI.......
TO TU MERA APNA KYU HAI......

ME TO NARAZ HU KHUD SE TO....
TU MUJHSE KHUS KYU HAI....

NAHI AA SAKTA HAI JAB TU WAPIS...
TO MUJH KO YE UMEED KYU HAI…..;(

Thursday, May 30, 2013

Sad Poetry

Paaon K Zakhm Dikhanay Ki Ejazat Di Jaye,
Wrna Raah-Geer Ko Janay Ki Ejazat Di Jaye,
Koi Taryaaq Nahi Gham K iLawa Gham Ka,
Zehar Mein Zehar MiLanay Ki Ejazat Di Jaye,
DoghLay Pan Ka Hunar Seekh Liya Hai Maine,
Ab Mujhe Shehar Mein Aanay Ki Ejazat Di Jaye,
Kaar-e-Duniya
Mujhe Majnu Nahi ßan'na Lakin,
Ishq Mein Naam Kamanay Ki Ejazat Di Jaye,
Kis Tarha Lutt Gai Duniya Meri Khushiyon Ki,
Qissa-e-Dard Sunanay Ki Ejazat Di Jaye,
Is Qadar Zabt Meri Jaan ßhi Le Skta Hai,
Kam Se Kam Ashk Bahanay Ki Ejazat Di Jaye .

Tuesday, May 28, 2013

Sad Poetry

Dil se agar kabhi tera armaan jaayega,
Ghar ko laga ke aag ye mehmaan jaayega,
Sab honge us se apne ta'arruf ki fikr men,
Mujh ko mere sukoot se pehchaan jaayega,
Is kufr-e-ishq se mujhe kyon Rokte ho tum,
Imaan vaalo mera hi imaan jaayega,
Aaj us se main ne shikva kiya thaa sharaaratan,
Kis ko khabar thi itna bura maan jaayega,
Ab us muqaam par hain meri beqaraariyan,
Samajhne vaala hoke pashemaan jaayega,
Duniya pe aisa vaqt parega k ek din,
Insaan ki talaash men insaan jaayega....!

Sad Poetry

Yun haath joray, Allam main dobay
Huroof mujh se yeh poochtay hain
K hijar raaton main honay wali
Ghazal ka Noha woh kab banein gey?
Yeh dard, wehshat.....malaal, sadma
Yeh ranj o afsos.....dukh, udasi
Na janay kab se yeh saray alfaz sab ma'ani
Meri tawaja k muntazir hain
Mere tasawur se jhaanktey hain
Woh istafhaami mizaj daan
Jo maangtay hain kalaam mujh se
Seya raaton ki roshnai se likhne walay sitam kerna wala
Udas nok-e-kalam se main ne
Raqam jo qisa kia tha dil pe
Woh kab supurd e zubaa'n karun ga
Sukhan ki arzi uthaye phirtay, yeh mangta hain huroof mujh se
Jo mujh pe beeti woh kab likhoon ga?
Jo ab na likhoon to kab likhoon ga____!!

Sad Poetry

Kamray Ko Jo Phoolon Se Saja Doon To Rulaa Doon
Wo Raat Tujhay Yaad Dila Doon To Rulaa Doon
Kb Saamna Kr Paaye Ga Tu Meri Nigah Ka
Chehray Se Terey Zulf Hataa Doon To Rulaa Doon
Ay Jaatay Huway Shakhs Tera Hosla Kya Hai
Surkhi C Jo Aankhon Men Barha Doon To Rulaa Doon
2 Ashk Bhula Detay Hain Khud Se Kiye Paimaan
Ik Bar Agar Haath Barhaa Doon To Rulaa Doon
Peshani Pe Ab Tk Hai Tere Lams Ka Pr Tao
Ye Shamma Achaanak Jo Bujha Doon To Rulaa Doon
Ay Dil Mere Dushman, Ay Mere Sang Sifat Dil
Ehsaas Jo Tujhko Bhi Dila Doon To Rulaa Doon

Monday, May 27, 2013

Sad Poetry

Mere jism se meri rooh nikaal di usne.
Mujhe udaas rehne ki adat daal di usne.
Main ny jb b usay apna bnana chaha.
Baton Baton mein baat taal di us ne.
Kisi ne us se pucha k chahat kya hy ?
Pehle to boht roy phir meri misaal di usne..!

Friday, May 24, 2013

Sad Poetry

Waqt k Shikanjon ne,
Khwahishon k
Phoolon ko,
Noch, noch torra hy,
Kiya ye Zulam thora hy.?
Dard ky jazeeron ne,
Aarzu k jeevan ko,
Maqbaron mein dala hy,
Zulmaton k dairay hain,
Log Sub Lutery hain,
Moat Rooth bethi hy,
Zaat reza,
reza hy,
Taar, taar Daman hy,
Dard, dard jeewan hy,
Shabnami si Palkain hain,
Qurb hy, na Doori hy,
Zindagi Adhoori hy,
Ab Yakeen Aaya
k..
Moat bhi Zaroori hy..!!!

Sad Poetry

Guzaarte Hain Ye Din B Tere Malaal Me Hum,
K Le K Phirte Hain Maazi Ko Apne Haal Me Hum,
Ab Aankh Me Koi Aansu Koi Sitaara Nahi,
Kuch Aise Toot K Roye Tere Visaal Me Hum,
Jo Apne Ehad-E-Ziyaa'n Ka Hisaab Taaza Kare,
Woh Lafz Layen Kahan Se Teri Misaal Me Hum,
Urooj Ka Koi Lamha Kahan Se Nikle Ga,
Ruke Howe Hain Kisi Ehad K Zawal Me Hum,
Wo Aks Hai Pas-e-Manzr Se Paish-e-Manzar Tak,
So Dekhte Hain Use Apne Khad-o-Khal Me Hum.....!

Sad Poetry

Kon Tha Wo,
Jis Ne Teri Ana Ki Khatir,
Wafa Ki Khatir,
Hansty Basty Jahan Ko Chora,
Tamam Dunya Se Rishta Tora,
Apni Khushiyan Nisar Kar Ke,
Teri Jawani Se Pyar Kar Ke,
Tujhe Wafa Ka Khuda Bana Ke,
Tumhary Qadmon Mein Sar Jhuka Ke,
Kon Tha Jis Ne Dukh Utha Ke,
Mohabaton Ko Dawaam Bakhsha,
Tujhe Zamany Mein Naam Bakhsha,
Tumhari Khatir Zamany Bhar Ki,
Tamam Rasmon Se Larne Wala,
Bohat Ranjeeda,
Sitam Raseeda,
Wafa Gazeda,
Kal Aik Koochy Mein Ro Raha Tha,
Zara Batao Ke Kon Tha Wo,
Kisi Ne Pocha To Kya Kaho Gy,
kya Naam' Mera Bata Sako Ge..?

Sad Poetry

Meri ankhon nay ye kaisi shararat krdi,
Na chahte huway b tuj se muhabt krdi...
Inhe kaho k na bikhra kray yun chehre par,
Dil nay phir tere zulfon ki shikayat krdi...
Sari dunya hai mukhalif mere muhabt k,
Tje panay k liye sub se baghawat krdi..
Gulab samaj kr honton ko cho lia hm nay,
Hosh may ayan B Uthta Hai
Is Tofan Me Mujhy Kashti Bana Lena
Agr Dubein Gy Hum Dono
To ik Sath Dubein Gay
Mera Tm Se Ye Wada He
Mager Tum B Nibha lena.

Sad Poetry

Aseer-e-dasht-e-wafa ka,
na maajra kehna,
Tamam poochne walon ko bs dua kehna,
Ye kehna,
Rat guzrti hai ab b ankhon me,
Tumhari yaad ka qaiym hai silsila kehna,
Ye kehna,
chaand nikalta hai baam pr ab b,
Mgr nhi hy shab ka wo ab maza kehna..
Ye kehna,
Hum ne hi toofan me daal di kashti,
Qasoor apna hai darya ko kya bura kehna
Ye kehna,
yaad tumhen kr k
hum bhi yun bikhary,
k jaisey hath sey gir jaye "AAINA" kehna...!!