Saturday, January 15, 2011

Poetry

Bachpan K Dukh Kitney Ajeeb Hotey they,
Tub to sirf Khiloney Tora karty they..
Wo Khushiyan bhi Janey Kesi Khushiyan thi,
Titlyon k par nouch k Uchhla karty they..
Chotey they to Makr-o-Fraib b chotey they,
Dana dal k chirya pakra karty they...
Paon mar k Barish k Pani mein,
Apni naou aap daboya karty they..
Apney jal jany ka b ehsaas na tha,
Jalty hovey sholon ko cheera karty they...
Ab tou ek ansoo b ruswa kar deta hai,
Bachpan mein tou jee bhar k Roya karty they.

No comments:

Post a Comment