Friday, February 25, 2011

Poetry

Aansuon ka hisaab Rakhta Hai Dil Men Kitne Aazaab Rakhta Hai,
Jane kis ki hai qabar Wo jis par roz taaza gulaab Rakhta hai,
Jaag kar kat ta hai shab aksar Phir B Palkon Pe Khwab Rakta Hai,
Umajanen Hain Sabhi ke sene men,
Kaun ab inqlab rakhta hai,
Wo jo aaye to nor sa bikhre aankon men aaftaab rakhta hai,
Aaina b bahot pareshan hai Rukh Pe hardam naqaab Rakhta Hai,
Yaad ki doop jb satati hai Sar pe meri kitab rakta hai,
Wo jo chahe to kya nai hoga Yun hi khana kharab Rakhta hai,
Gungunata hai chhup ke meri gazal Mohsin
Shauq to lajawab Rakta hai,

No comments:

Post a Comment