Parra he waasta jis se, wohi teer-o-tabar nikla,
Sabaq deta raha jo umar bhar roshan khayaLi ka,
Use jab pas se dekha, to khud b tang nazar nikla,
Samajh kr zindagi jis se muhbt kr rahe the hum,
Use jab chhu kr dekha, to faqat khaaki bashar nikla,
Muhbt ka khumaar utra, to tab saabit huwa hum pr,
Jise hm umar samjhe the, wo be-maqsad safar nikla
No comments:
Post a Comment