Para hey waasta jis sey wohi teer-o-tabar nikla
Sabaq deta raha jo umr bhar roshan khayali ka
Ussey jab paas sey dekha to khud bhi tang nazar nikla
Samajh kar zindagi jis se mhbt kar rahy thy hum
Usy jab chhu kar dekha to faqat khaki bashar nikla
Mohabbat ka khumar utra to tab saabit howa hum par
Jisy hum umar samjhy thy wo bemaqsad safar nikla..
No comments:
Post a Comment