Sunday, February 27, 2011

Sad Poetry

Judayion Ke Azaab Satatey Hain
.
Sawaal Kya Jawaab Satatey Hain
.
Manzil Ki Chaah Agar Na Rahey To Phir
.
Tamaam Rasta Saraab Satatey Hain
.
Band Aankhon Say Jagtey Hain Hum
.
Khuli Aankhon Khowaab Satatey Hain
.
'Tanha' Inn Ka Bhala Kya Shumaar Ho
.
Yahan Log To Be-Hisaab Satatey Hai....

No comments:

Post a Comment