Tuesday, March 1, 2011

Poetry

Jab Bhi Fursat Ho Mere Khawaab Sajjati Jaana,
Dil Mein Ulfat Ki Nai Jot Jaggati Jaana,
Jis Tarranum Se Hai Be Behraa Meri Jaan Ab Tak,
Jal Tarrangon Sa Koi Saaz Bajjati Jaana,
Kutt Hi Jaye Ga Saffar Yun Hi Khamoshi Se Kabhi,
Apne Honton Se Koii Geet Sunnati Jaana,
Zulmat-e-Shab Mein Na Bujh Paai Meri Tishnaa Labbi,
Ab Yeh Khwahish Ke Diye Dar Pay Jalaati Jaana,
Kuffer Ke Fatway Agar Log Bhi Gaye Laggnay Doston,
Koi Deed Bharaa Jaam Pilaati Jaana,
Tera Andaaz Mannanay Ka Bara Acha Hai,
Main Na Roothoon Bhi, Magar Mujh Ko Mannati Jaana,
Sab Ko Kehnaa Kay Bulaaya Hai Mujhay Qesar Ne,
Iss Bahaanay Se Yeh Mehfil Hi Sajaati Jaana....!!

No comments:

Post a Comment