Tuesday, March 1, 2011

Poetry

Jamal_e_yar ko dekhon kamal_e_yar se pehly
Main khushbo ki tarah mehkon khayal_e_yar se pehly
Karishmy hussan k suraj, sitary, phool zahir hein
Magar Main kis taraf dekhon misal_e_yar se pehly
Dua'on me Meri yon to buhat taseer hai lekin
Main Khuda se aur kiya mangon sawal_e_yar se pehly
Hai adat door rehny ki, agar wo saamny aye
Main sham_e_zindagi chahon visal_e_yar se pehly...!

No comments:

Post a Comment