Sunday, March 13, 2011

Sad Poetry

Yunhi tanhai mein ab dil ko saza dete hain,
Naam likhte hain un ka aur likh k mita dete hain,
Jab b nakaam mohabbat ka koi zikar kary,
Log hansty hain aur mera naam bata dete hain,
Ab khushi ki koi tarkeeb na soojhy,
Ab ye alam hai k gham hi maza dete hain,
Kia zarorat hai k dete ho khud ko ye zehmat,
Lo hum khud hi apny nasheman ko jala dete hain,
Ab tasalli ni di jati mareez e gham ko,
Dekhny wale b marny ki dua dete hain...!

No comments:

Post a Comment