Saturday, April 30, 2011

Romantic

Is Bheegi Sham K Sa'ey Mein
Chupkey Se Agr Tum Aa Jao,
Yeh Sham Suhani Ho Jaye,
Rangeen Kahani Ho Jaye,
Wo Baat Jo Lab Na Keh Sakey,
Aankhon Ki Zubani Ho jaye,
Koi Pyar Ka Naghma Tum
chero,
Koi Pyar Ka Geet Sunaen Hum,
Han Pyar Karen Yun Hum Dono,
Yeh Raat Suhani Ho Jaye,
Main Baithoon Tere Pehlon Mein,
Kuch Dil Ki Baaten Ho Jayen,
Tum Ungliyan Phairo Mere Baalon Mein,
Hum Meethi Neend So Jayen,
Is Bhegi Sham Suhani Mein Chupky Se Agr Tum Aa Jao

No comments:

Post a Comment