Thursday, April 28, 2011

Sad Poetry

Kahin Ummeed Si Hai Dil Ke NihaansKhaane mein
kahin ummeed si hai dil ke nihaan Khaane mein
abhi kuch waqt lagega ise samajhaane mein
mausam-e-gul ho ki patjharr ho bala se apani
ham ki shaamil hain na khilne mein na murjhaane mein
ham se maKhfi nahin kuch rahsguzar-e-shauq ka haal
ham ne ik umr guzaari hai havaakhvaane mein
hai yuun hi ghumate rahne ka maza hi kuch aur
aisi lazzat na pahunchane mein na rah jaane mein
naye deewaanon ko dekhein to Khushi hoti hai
ham bhi aise hi the jab aaye the veeraane mein
mausamon kaa kosii meharam ho to us se poochho
kitane patjharr abhi baaqi hain bahaar aane mein.

No comments:

Post a Comment