Saturday, April 23, 2011

Sad Poetry

PHIR MERI KAMI HOGI
Gullshan ki bahaaron mein
Rangeen nazzaaron mein,
Jab tum mujhe dhoondo gay
Aankhon mein nammi hogi,
Mehsoos tumhein har dam
Phir meri kami hogi,
Sawwan ki ghhataon ka
Jab shor suno gay tum,
Bikhrey hue maazi k
Oraaq chunno gay tum,
Maahol k chehrey pr
Jab dhhool jammi hogi,
Mehsoos tumhein har dam
Phir meri kami hogi.

No comments:

Post a Comment