Thursday, April 28, 2011

Sad Poetry

Aisay toota hay tamannaon ka Pindaar k bas,
Dil ne jheeley hain mohabbat mein wo aazaar k bas,
Ek Jhonky mein Zamana mere hathon se gya!
Is qadar tez hui waqt ki raftar k bas,
Tu kbhi rakh k hamein dekh to Bazaar k beech!
Is tarha toot k aaen ge kharidar k bas
Kal b Sadyon ki Musafat se paray thay dono
Darmiyan aaj b parti hay wo deewar k bas
Ye to ik Zid hay k main Shikayat na karun Dost
Warna tum say to wo shikwey hain mere yar K bas...

No comments:

Post a Comment