Is shehar ma har shakhs pareishaan sa kyun hai
Dil hai to dhaRakne ka bahaana koi dhoonde
Pathar ki tarha be'his o be'jaan sa kyun hai
Tanhaaii ki ye kon si manzil hai rafeeqo
Ta had e nazar aik bayabaan sa kyun hai
Hum ne to koi baat nikaali nahi ghum ki
Woh zood e pasheimaan, pasheimaan sa kyun hai
Kya koi naii baat nazar aaii hai hum ma?
Aaeina humain daikh ke hairaan sa kyun hai.
No comments:
Post a Comment