Monday, April 25, 2011

Sad Poetry

Nazrain hum pehchaan rahain hain...
Dil ki baatien jaan rahain hain...
Rait ko phir hum chaan rahain hai...
Jhoot ko phir sach jaan rahain hain...
Door rahain aankhon se lekin...
Dil mein toh mehmaa rahain hain...
Aap tasavur ki dunya mein...
Har lamha, har aan rahain hain...
Hye re yeh majburi tujhko...
Jaan ke bhi Anjaan rahain hain...
Aap ko sun kar hairat ho gi...
Aap ko hum pehchan rahain hain...
Hum ne toh ek baat kahi hain...
Aap bura kue maan rahain hain...
Kitne armaan mere Dil mein...
Barso tak mehmaan rahain hain...
Un ki, meri baat na pucho...
Do kalab ek jaan rahain hain...
Jan-e-tammana tujh par mere...
Dil-o-Jaan qurbaa rahain hain...
Aur karein kia teri khatir...
Khak toh dar dar chaan rahain hain...

No comments:

Post a Comment