Sunday, April 10, 2011

Sad Poetry

Main jab b yad ki shammain jala k rakhta hun,
Ye meri zid hay k samnay hawa k rakhta hun,
Main toot sakta hun Lekin main jhuk nahi sakta,
Shikasta zaat main pehlu anaa k rakhta hun,
Wo baadbaan hay agar kashti-e-muhabat ka,
Main baadbaan se rishty hawa k rakhta hun,
Tumaray khat hain mehekty Gulab ki manind,
Wo or khiltey hain,
Jitna chupa k rakhta hun,
Main janta hun k aana nahi kisi ne "SAGAR"
Magar me darwaazy pe shammain jalaa k rakhta hon.

No comments:

Post a Comment