Haan badal jatey ye jazbat agar tum kehtey.
Mene to chaha tha phir pyar ka sooraj chamkey,
Zindagi mai hoti na yun raat agar tum kehtay.
Manzil mushkil to na thi apni,guzar hi jati,
Rehta hathon mai tera hath agar tum kehtey.
Tum ne kyun chhor diya mujh ko Mohabbat kar ke,
Log yun kartey na phir baat agar tum kehtey.
Bheegi palkon ka taqaza hai usay ye keh do,
Ruk bhi sakti thi ye barsat agar tum kehtey.
No comments:
Post a Comment