Thursday, May 26, 2011

Sad Poetry

Usko fursat hi nahi waqt nikaly Mohsin,
Aisy hoty hain bhala chahny waaly Mohsin,
Yaad k dasht mein phirta hon main nangay paon,
Dekh tu aa k kabhi paon k chhaaly Mohsin,
Kho gai subho ki umeed aur ab lagta hai,
Ham nahi hon gay k jab hon gay ujaaly Mohsin,
Hakim e waqt kahan main kahan adal kahan,
Kyun na khalqat ki zuban par lagaen taaly Mohsin,
Woh jo ik shakhs mataa,e dil o jaan tha na raha,
Ab bhala kon mery dard sambhaly Mohsin.¤

No comments:

Post a Comment