Monday, May 16, 2011

Sad Poetry

Na wo milta hai na milne ka ishara koi
Kese umeed ka chamke ga sitara koi
Hadd se ziada na kisi se b muhabat krna
Jaan leta hai sada jaan se pyara koi
Bewafai k sitam tumko samaj aa jate
Kash tum jesa agar hota tumhara koi
Chaand ne jaagte rehne ka sabab poocha hai
Kya kahen toot gaya khuwab hamara koi
Sab taalluq hain zarurat k yahan par * :::: wAsi :::: *
Na koi dost,
na apna,
na sahaara koi...!

No comments:

Post a Comment