Wednesday, June 8, 2011

Hadees( S.A.W )

Hazrat Abu Bakar Siddiq R.A ne farmaya: Maine Rasul Allah (S.A.W) ko farmatay suna hai k "Jab logon ka ye haal ho jaye k wo burai dekhain aur isay badalnay ki koshish na karain, zalim ko zulm kartay huay paayain aur uska hath na pakrain toh qareeb hai k Allah apne azab main subko lapet le. Khuda ki Qasam tumko lazim hai k bhalai ka hukam do aur burai se roko. Warna Allah tum pe aisay logon ko mussallat kar dega jo tum main sub se bad-tar hon ge aur wo tumko sakht takleef dain ge. Phir tumhare nek log khuda se duayain mangain ge magar wo qabul na hon gi." (Trimzi2178 AbuDaud4338)

No comments:

Post a Comment