Sunday, June 12, 2011

Sad Poetry

Akhrat ko bhool betha fikr-e-dunya k Evaz
Maut ka hamla achanak bekhabr kesa lga
Hanste hanste tu ne dunya me guzari zindagi,
Ab naya zair-e-zamin ye tang ghar kesa lga?
Dafan ker k qabr mein sab berukhi se chal dye
Jis se tu manoos tha ab wo bashar kesa lga?
Tu hansa kerta tha auron ko pareshan dekh ker,
Chal diya apno ko rota chor ker kesa lga?
Ab na wo takya mulaym or na wo bistr naram,
Jism pe 2 gaz kafn miti py sir kesa lga?

No comments:

Post a Comment