Saturday, June 4, 2011

Sad Poetry

Sabhi ashk aankhon men aa gae
na chupa saky na bata saky
Wo jo raaz tha wo khul gya
koi baat bhi na chupa saky
Na wafa rahi na jafa rahi
na wo dil raha na hum rahy
uski yad ka jo charagh tha
na jala saky na bujha saky
Koi zor khud pe raha nahi
koi bus bhi us pe chala nhi
usy dekhty rahy door tak
magr hath tak na hila saky
Nhi is me uski khata koi
na naseeb ka koi dosh tha
Ye humara apna mizaaj tha
k kisi tarha na bta saky...

No comments:

Post a Comment