Chand pagal hai andhery mein nikal parta hai,
Aik diwana musafir hai meri ankhon mein,
Waqt be-waqt Thehr jata hai chal parta hai,
Apni tabeer k chakar mein mera jagta khwab,
Roz suraj ki trah ghar se nikal parta hai,
Roz pathar ki himayat mein ghazal likhty hain,
Roz sheeshon se koi kam nikal parta hai,
Us ki yad aie hai sanso zara ahista chalo,
Dharkano se bhi ibadat mein khalal parta hai..
No comments:
Post a Comment