Friday, July 22, 2011

Lov Poetry

Teri Aankhon k isharon ki bohat yaad Aai,.
Aaj pat'jhar mein baharon ki bohat yaad Aai,.
Larkharrata huwa Mehkhanay se jab Main nikla,.
Teri banhon k saharon ki bohat yaad Aai,.
Jab bhi ponchay kabhi haathon se jo aansu apnay,.
Tere daman k kinaron ki bohat yaad Aai,.
Aaj veeran se iss shehar mein ae Jaan-e-Wafa,.
Mujh ko kuch apnay pyaron ki bohat yaad Aai.

No comments:

Post a Comment