Friday, August 5, 2011

Sad Poetry

Zakhm e tanhai mai khushbo e hina kiski thi
Saya diwar par mera thah sada kiski thi
Uski raftar se lipat rahi meri ankhain
Usne mur kar bi na dekha ke wafa kiski thi
Waqt ki tarha dabe paaon ye kun aya he
Mai andhera jise samja who qaba kiski thi
Ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
Hath main ne uthaya thah dua kiski thi
Meri aahon ki zuban koi samajta kese
Zindagi itni dukhi mere siwa kiski thi
AAg se dosti uski thi jala ghar mera
Di gai kis ko saza aur khata kiski thi
Mai ne binaiyan boo kar bhi andhere kate
Kis ke bas mai thi zamin abr o hawa kiski thi
Chor di kis liye tu ne muzafar dunya
Justju si tuje har waqt bata kiski thi

No comments:

Post a Comment