Ab us k khema-e-kushbo main rehna chahty hain..
Sada-e-gul ki terhan,
moja-e-saba ki terhan..
Teri gali se kisi din guzarna chahty hain..
Talash-e-rizq main bhatki hui thakan k baad..
Parindy apny gharo ko palatna chahty hain..
Humein na dekh zamany ki gard aankho se..
Tujhy khabar nahi hum tujh ko kitna chahty hain..!
No comments:
Post a Comment