shahar ka shahar hi aseb zada ho jaise
rat ke pichle pahar ati ha avazain si
dur shahara main koi chiKh raha ho jaise
dar-o-divar pe chai hai udasi aisi
aj har ghar se janaza sa utha ho jaise
muskurata hun pa-e-Khatir-e-ahabab magar
dukh to chehre ki lakiron pe saja ho jaise
ab agar dub gaya bhi to marunga na ‘Kamal’
bahte pani pe mera nam likha ho jaise
No comments:
Post a Comment