Ye Nuskha Aazmuda Hai
Bauhat LogOn Ne Is Nuskhe Ki Aadat Paal Rakhi Hai
Kisi Shaa'ir Ne De Daala Isse Ism-E-Ibadat Hai
Kisi Shaa'ir Ka Kehna Hai Ke Ye Saamaan-E-Raahat Hai
Kisi Ne Ye B Keh Daala Ke Do JismOn Mein Ek Ruhh Hai
Kisi Ne Ye B Likha Hai Ke Ye Ek Amr-E-Qudrat Hai
Kisi Ne Isko Khushbu Ka Dia Hai Naam Pall-Bhar Mein
..Yahaan Tak Ke Jisse B Lafz Milte Hain
Wohi Azhaar Karta Hai
Main Khud Taa'eed Karta Hun, Bauhat Unke NazaryOn Ki
Magar Meri Nazar Mein To
Aziyyat Ka Saamaan Hai Ye
Jahaan Per Rog Palte Hain
SunO ! Aisa Jahaan Hai Ye
Mayaad-E-Hum-Mizaji B Bauhat Hai Mukhtasir Iski
Hai Jiski Intahaa Is Mein, Hai Buss Wo Aablaa-Paa'ii
Mera To Ye Nazariya Hai
Mera To Tajurba Hai
MuhaBBaT BeQarari Hai
Ye Nuskha Aazmuda Hai . . .
No comments:
Post a Comment