Main tery bad kisi dar ka sawali na huwa
Tu hai Yasrab ko madeeney me badalny wala
Tery jaisa to kisi shehr ka wali na huwa
Her haseen husn e Mohammad (S.A.W.W) se hai khairat ka talib
Koi chehra b tery jesa jamali na huwa
Koi paida na huwa Tere moazzin jaisa
Phir azaano me kabhi soze e Bilali na huwa
Me ne her daur ki tareekh me jhanka he magar
Koi insan Mohammad (S.A.W.W) sa misali na huwa.
No comments:
Post a Comment