Iqrar-e-wafa karna, phir us se mukar jana
Jub khwaab nhi koi, to kiya zindagi ka krna
Har subh ko ji uthna, har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chahat k siwa kiya hai
Kiya waqt pe ghar jana, kiya der se ghar jana
Aisa na ho, darya me tum baar-e-giraan thehro
Jub log zyada hon, kashti se utar jana
Suqraat k peene se kiya mujh pe ayaan hota
Khud zehar piya men ne, tab us ka asar
jana..!
No comments:
Post a Comment