Monday, December 5, 2011

Sad Poetry

"...Meri zindgi ko ik tamasha bana dia us ne,
Bhari mehfil me tanha bitha dia us ne,
Aesi kya thi nafrat us ko is masoom dil se,
Khushian chura kar gham thama dia us ne,
BohAt naaz tha uski wafa pe kabi hum ko,
Mujh ko hi meri nazron me gira dia us ne,
Khud bewafa tha meri wafa ki kia qadar karta,
~^"DOST"^~
Anmol tha me khak mein mila dia us ne,
Kisi ko yad karna to uski fitrat me shamil nahi
Hawa ka jhonka samjh kar bhula dia us ne.

No comments:

Post a Comment