Ishq sehra hai k darya hai kbi socha tum ne
Tujh se kya hai mera nata kbi socha tum ne
Haan main tanha hun ye Iqrar b karti hun
Khud b kitna tu tanha hai kbi socha tum ne
Ye alag baat hai jataya nhi main ne tujh ko
Warna kitna tujhe chaha hai
kbi socha tum ne
Tujhe awaaz likha noor likha
phool likha
Main ne kya kya tujhy likha hai kbi socha tum ne
Mutmain hun tujhe lafzon ki hararat de kr
Main ne kitna tujhe socha hai
kbi socha tm ne.
No comments:
Post a Comment