Tum ne bhe kabhi apna to jana hi nhi tha,
Kya kartey akely mein saja kr koi mehfil,
Jab sath mera kisi ne nibhana hi nhi tha,
Dil ne to bohat chaha mgr kis tarah jeetey,
Jeeney k liye koi bahana hi nhi tha,
Mur mur k dekhta raha main umar bhar mgr,
Tum aaye nhi tum ko to aana hi nhi tha,
Ek rasta bacha tha wo bhi lautney ka tha,
Jata main kahan koi thikana hi nhi tha.
No comments:
Post a Comment