Monday, January 23, 2012

Sad Poetry

"JANUERY"
k dino mein tum ne
Mujh se ye kaha tha na?
K tanha hun magar phir bhi
Tumhara sath main dun gi
Apne hath aankhon par
Meri rakh kar kaha tha na?
Bhari duniya se takra k
Tumhara sath main dun gi
Na badlun gi kabhi jaisy
Mosam ye badalty hain
Badalty mosmon mein bhi
Tumhara sath main dun gi
Tumhari inhi baton se
Bohat majbur ho kar main
Sab k samne tum se
Ye kehna chahta hun
Tumhare Ehid-o-peman se
To ye mosam hi achhe hain
Tum Ehad kar k nahi laote
Ye mosam laot aya hai
JANUERY mein kaha tha na
K wapis laot aaon gi
Abi tak tum nahi laote
JANUERY laot aya hai!

No comments:

Post a Comment