Monday, January 2, 2012

Sad Poetry

"GHAZHAL"
Labon pe harf na koi sawal rakhta tha,
Kabhi main zabt men itna kamal rakhta tha,
Khabar kahan thi mujhe hi wo bhol jaye ga,
Ek ek cheez jo meri sambhal rakhta tha,
Bicharte waqt bazahir to kuch na bola tha,
Magar nigah main so so sawal rakhta tha,
Wo muskura k bohat dair chup raha,
Jese hansi ki Aar main malal rakhta tha,
Suna hai ab log usay bohat satate hain Mohsin,
Jis Ek shaks ka MAIN bohat khayal rakhta tha...

No comments:

Post a Comment