Thursday, February 2, 2012

Sad Poetry

Umr ki Sari thakkan laad K ghar jata hun,
Rat bister pe main sota nahi mar jata hoon.
Aksar aukat bharey shehr k san'naty mein,
Isqadar zor sey hansta hun k darr jata hun.
Mere aaney ki khabar sirf diya rakhta hai,
Main hawao'n ki tarah aa k guzar jata hun.
Dil thehr jata hai bholi huyi manzil me kahin,
Main kisi doosrey raastey sey guzar jata hun.
Simta rehta hun bohat halka e ahbab me main,
Chaar diwari mein aatey hi bikhr jata hn....

No comments:

Post a Comment