Aur mummy ne samjhai nahi.
Main kaise Mithi baat karoon?
Jab mithi cheez koi khai nahi?
Yeh chaand bhi kaisa maamu hai?
Jab mummy ka woh bhai nahi ?
Kyun lambe baal hain bhaalu ke?
Kya usne triming karwai nahi?
Kya woh bhi Ganda baccha hai?
Ya jungle mein koi nai nahi ?
Nana ki patni nani hai,
Dada ki patni dadi hai
Tab papa ki patni Papi kyun nahi?
Samunder ka rang kyun Neela hai?
Jab neel kisi ne milayi nahi ?
Jab school mein itni neend aati hai,
Toh kyun bed wahan rakhwaye nahi?
Yeh baat samajh mein aayi nahi,
aur mummy ne samjhai nahi ;)
No comments:
Post a Comment