Hajjaj bin Yousuf ne ek nabina shakhs ko KHANA KABA ka GHILAF pakre dekh k pucha,
kya kar rahe ho?
Usne kaha:
"Main 20 saal se ALLAH se beenai ki Dua kar raha hun."
Hajjaj bin Yousuf ne ta'jjub se kaha:
"Itni mudat se na teri Dua qabool hui aur na tujhe iska badla mila,
aisa ho nahi sakta,
,
Dekho ye talwar hai isko apne pass rakh,
Mein 3 din baad aaoga,
agar teri Dua qabool na hui to main tujhe qatal kar donga."
3 din baad Hajjaj bin Yousuf wapis aaye to us shakhs ki beenai aa chuki thi,
Hajjaj bin Yousuf ne kaha:
"20 saal ki be'parwahi ki Dua or 3 dinki Dilse nikli Dua main yehi FARAQ hai."
No comments:
Post a Comment