"Raat kat-ti rahi chand dhalta raha"
"Aatish-e-Hijr Mein koi jalta Raha"
"Ghar ki tanhaiyan Dil ko Dasti rahin"
"Koi Bechain karwat Badalta Raha"
"Aas-o-Umeed ki shamma Roshan Rahi"
"Ghar ki Dehleez ko koi takta raha"
"Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi"
"Raat Bhar koi tanha Sisakta Raha"
"Ashk Palkon Pe aa k Bikhrty Rahy"
"Naam Lab pe kisi ka Lrzta Raha"
"Aaj Phir Raat Basr Ho Hi Gai"
"Aaj Phir koi khud Se Ulajhta Raha.
. . . .
No comments:
Post a Comment