Aesa nahi k nafs ka shaitan mar gaya,
Shaitan to hai zinda, magar insan mar gaya,
Sajdon main sar jhùkanay ki fursat nahi rahi,
Waliyon ki rooh main basa wajdaan mar gaya,
Masjid to pakki ban gai aur shandaar bhi,
Kacchi hen RAB se chahaten, imaan mar gaya,
Baatil ko jhoot kehnay ki taqat nahin rahi,
Ho haq sarbuland ye armaan mar gaya,
Ay insaan hairat hai teri qismat pe tu kis tarha,
Paida hua tha khùsh nùma "VEERAN"mar gyä...
No comments:
Post a Comment