Saturday, August 11, 2012

Lov Poetry

" GHAZAL "
Wo Ik shakhs jo Hamain zindagi se Pyara ha,
Baghair Us k veeran ye jahan Sara ha,
Wo nahi janta k uski zaat.. Kya ha,
Wohi to hai jo Mohabbat ka Ik sitara ha,
Nahi milta to dil ki halat ajeeb hoti ha,
K Is me Mera nahi dil ka kasoor sara ha,
Wo apni sab baton ko chup chup k bayan karta ha,
Yehi to ada ha jis ne Hamain mara ha,
Wo kya tha?
Kya hai?
Kya ho ga?
Kya khabar?
Yehi pata ha k wo jaisa bhi ha bus Hamara hai.

No comments:

Post a Comment