Sunday, August 26, 2012

Sad Poetry

¤HUM¤
Silsilay jo wafa k rakhtay hain,
Hoslay inteha k rakhtay hain.
Hum kabhi Bud-dua nahin detay,
Hum saleeqay dua k rakhtay hain.
Un k daman bhi jaltay dekhay hain,
Wo jo daman bacha k rakhtay hain.
Hum nahin hain shikast k qail,
Hum safeenay jala k rakhtay hain.
Jis ko jaana hai wo chala jaey,
Hum diye sub bujha k rakhtay hain.
Hum bhi kitnay ajeeb hain dost!
Dard ko dil mein chupa k rakhtay hain...!!!

No comments:

Post a Comment