Main nafraton k jahan men reh kr juda karon ga to kia karon ga
Ye theek kehty ho be'wafa hon wafa karon ga to kia karon ga
Bs ek to hi to reh gaya hy, jahan saara to kho chuka hon
Tujhy bi apni ana men aa kr Khafa karon ga to kiya karon ga
Hazaar sajdy to kr chuka hon Qaza tumhari muhabton men
Main ab dikhaawey ka koi sajda ada karon ga to kia karon ga
Baghair paani bi koi machhli, bhala kbi reh saki hy piyaarey
Main tujh ko kho kr, ksi ka ho kr, bata karon ga to kia karon ga.
No comments:
Post a Comment