radeef, qaafia, bandish, khayal, lafz-gari,
.
wo hoor zeena utarte hue sikhane lagi..
.
kisi k sheeri labon se udhaar lete hen,
.
mithaas, shehad, ratab, cheeni, qand, misri dalee..
.
kisi k sath nahate hen tez barish men,
.
libaas, gajre, ufaq, aankh, zulf, hont, hansi..
.
kisi ka bheega badan gul khilata hai aksar,
.
gulaab, rani, kanwal, yasmeen, champa'kali..
.
kisi ko chalta hua dekh len to chalte banen,
.
ghazaal, morni, mojen, najum, zamana, ghari..
.
kisi ki madh bhari aankhon k aage kuchh b nahi,
.
thakan, sharab, dawa, ghum, khumar-e neem shabi...!!
No comments:
Post a Comment