Saturday, October 13, 2012

Sad Poetry

Kabhi woh pas hota hai kabhi woh dur hota hai,
Kabhi palkein bichata hai kabhi maghroor hota hai,
Kabhi naraz hota hai woh sun kar guftagu meri,
Kabhi khamoshiyun may bhi buhat masroor hota hai,
Kabhi woh faisla karta hai mujh sy dor rehny ka,
Kabhi mery hawaly say woh khud mash'hoor hota hai,
Kabhi woh lena chahta hai apny pyaar ki qeemat,
Kabhi be'daam bikna bhi usay manzoor hota hai..

No comments:

Post a Comment