Saturday, October 13, 2012

Sad Poetry

Main jalwa-e-saat-rang hon ya mouj-e-saba hon
Ehsas ki chokhat pe khara soch raha hon
Ik jaam to pee lene de ae gardish-e-doran
Phir tujh ko batata hon k main kon hon kia hon
Tum yaad karo pehli mulaqat ki baaten
Main pehli mulaqat zara bhol gaya hon
So bar zamane ne mujhe zeher dia hai
So bar main sach bol k Suqraat bana hon
Aksar usay paa lene ki umeed mein
,
,
"WaSSi"
Khud apne liye raah ki deewar bana hon...!

No comments:

Post a Comment