Saturday, February 2, 2013

Sad Poetry

Yeh Souda Mujh Ko Mehnga Par Gaya Hai
Jo Tujh Sey Pyar Karna Par Gaya Hai
giLLa Kar He Diya Khushbu Ne Aakhir
Ke Isko Kyun Bikharna Par Gaya Hai
Shajar Ki Dekh Kar Chha'on Ghani,
Ghari Bhar Ko Thehrna Par Gaya Hai
Teri Aankhon Mein Jhanka Tou Yeh Jana
Samandar Mein Uterna Par Gaya Hai
Tamana Thi Bohat PhoLon Ko Chou Lon
Magar Khaaron Pe ChaLna Par Gaya Hai
Zamane Ke MuqabiL Datt Gaye Tum,
Laga Ab Khud Se Darna Par Gaya Hai
"Bohat He Saint Kar Rakha Tha Jeevan
Kaha Tu Ne Tou Marna Par Gaya Hai...!!!"

No comments:

Post a Comment