Sang zani bhi jaari hai,
.
Kaifiyat bhi taari hai.
.
Matti kitni halki thi,
.
Pathar kitna bhaari hai.
.
Aaj us ka darshan kar ke,
.
Apni nazar utaari hai.
.
Mujh per aur aainy per,
.
Ik jaisi sarshaari hai.
.
Mohlat de kar maarta hai,
.
Ishq ajeeb shikaari hai.
.
Dil dehli ka baanka hai,
.
Duniya teekhi naari hai.
.
Laila ka aashiq hona,
.
Majnoo ki fankaari hai.
.
Seena taan ke chalta hoon,
.
Apne aap se yaari hai. . .*
No comments:
Post a Comment